Meri Shayari ki Diary.

"ab ke ham bichhde to shāyad kabhī ḳhwāboñ meñ mileñ
jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ" - Ahmed Faraz

So, another Valentine week is around and it's like love is flowing in the air, everyone is just carrying very different vibe around themselves. The sweet fragrance of Roses, Chocolates, and cute Teddy Bears everywhere. All I wish for everyone is may you all find the true love of your lives and may you all be as happy as you all can be. As promised, here are ten Poems/Shayaris' that I have compiled from the last few months of my work. Hope you all enjoy. Please remember to Subscribe my Blog and leave a comment if you all like any of those. 
Peace and Love! <3



"Rehmat"
Tumse mil kar hi toh Khuda ki Rehmat pe hua mujhe Yakeen, 
Yaad karta hun wo Din jab kisi Dargaah pe Sir jhukaya hoga...



"Pehli EID"
Khoob Diwali dekhi,
Khoob Dekhi holi;
Sawan bhi dekhe hai khoob,
Kitne toh Rawan thy dekhe...
Bss Nahi dkhi tum jaisi khoobsurat Eid koi...



"Teri Ada"
Koi tim-timana taaron se seekhe,
Koi mahakna fhoolon se seekhe
Aur jisko seekhna ho pal bhar mein hi mausamon ko badalna,
Wo Sharmana zara tumse seekhe...



"Haseen Khwaab"
Tu khwaab hi to hai, aur Mai bhi soya hua hi hu, warna haquikat mein kaha koi itna haseen hota hai...



"Teri Tasveer"
Ke badi hi mushkil mein daal gyi ye tasweer Teri ae haseen....
Ke Teri katil aankhien dekhu, ya tere muskuraatein hue honth, ya dekhu Teri meharbaaan zulfon ko Jo hame jeena seekhati hai....



"Ishq aur Hunar"
Ye ishq hi toh hai jo badalta hai mausamon ko, 
Jo mahkaata hai phoolon ko aur barish ki boondon ko, 
Tu maan le Galib, ke ye tera hunar bhi nhi, 
Ye toh ishq hi hai, jo maksad deta hai teri Gazalon ko... 



"Be-sabra"
 hicchkiyaan aati hai hamein har waqt bss yhi Yaad dilaane ko, koi be-sabra sa hokar Yaad krta rhta hai hamein bhi bss hamari hi Tarah....



"Aashiq aur Khuda"
Leja kar Durgaah poocha daalunga saare sawaal uss mohabbat ke tujhse kisi din, 
Ke bss tu sach hi bolna tu, 
Aaj tera Aashiq aur tera Khuda... dono ek saath sunn rhe hai... 



"Mulakaatien aur Gulaab"
Wo kahti thi ki mat karo Ishq, sudhar jao, 
Le aaj se hamne shaayari hi chhod di, 
Mat laya karo Gulaab unn choti choti mulakaaton mein, 
Kal raat hamne poori bagiya hi ujaad di... 


and finally here is a small poem that I wrote a long time back, which truly explains my feelings very much accurately. If you've been so far, do not forget to share it with your loved ones and do let me know if they like it or not by leaving a comment or DM me instead! 


"Takleefein Meri"
Dekh lenge Jo tere aankho ki wo surkh mastiyaan, 
Taqleefein khud hi Kam ho jayngi;

Tum muskura hi do sharma ke bss itna sa,
Taqleefein khud hi Kam ho jayngi;

Hamne kho diya aitbaar iss jhoothi duniya pe kabka, 
Aur maan liya khuda bhi tujhe hi khud Ka,
Ke tum bss Roz savere issi Tarah chajje pe aao subha ban Kar,
Taqleefein khud hi Kam ho jayngi;
Palat kar dkhogi agar tum rah mein chalte hue hamein kbhi,
Taqleefein khud hi Kam ho jayngi;


Thank You, 
-Escapist









Comments

Popular posts from this blog

Safar aur Raah.

The bleeding loneliness.

Adore